Ghazal | Gungunaate hue aanchal ki hawaa de mujh ko Poet Wasi Saha | Wasi saha Ghazal
Ghazal | Gungunaate hue aanchal ki hawaa de mujh ko Poet Wasi Saha | Wasi saha Ghazal
Ghazal | Gungunaate Hue Aanchal ki Hawaa De Mujh ko
شاعر: وصی شاہ :گنگناتے ہوءے آنچل کی ہوا دے مجھ کو
Ghazal | Gungunaate hue aanchal ki hawaa de mujh ko |
Gungunaate hue aanchal ki hawaa de mujh ko,
ungliyan pher ke baalon mein sula de mujh ko.
Jis tarah faaltu guldaan pade rehte hain,
apne ghar ke kisi kone se laga de mujh ko.
Yaad kar ke mujhe takleef hi hoti hogi,
ek qissa hun purana sa bhula de mujh ko.
Doobte doobte aawaz teri sun jaaun,
aakhiri baar toh saahil se sada de mujh ko.
Main tere hijr mein chup chaap na mar jaaun kahin,
main hun sakte mein aa ke rula de mujh ko.
Dekh mein ho gaya badnaam kitaabon ki tarah,
meri tasheer na kar ab toh jala de mujh ko.
Roothna tera meri jaan liye jata hai
aise naraaz na ho, hans ke dikha de mujh ko.
Aur kuchh bhi nahin maanga mere maalik tujh se,
uss ki galiyon mein padi khaak bana de mujh ko.
Log kehte hain ki ye ishq nigal jata hai,
main bhi iss ishq mein aaya hun, dua de mujh ko.
Yehi auqaat hai meri tere jeewan mein ki main,
koi kamzor sa lamha hun, bhula de mujh ko. !!
Gungunaate hue aanchal ki hawaa de mujh ko,
ungliyan pher ke baalon mein sula de mujh ko.
Ghazal | Gungunaate hue aanchal ki hawaa de mujh ko Poet Wasi Saha | Wasi saha Ghazal
Reviewed by Tayyab Naveed
on
07:15:00
Rating:
No comments: