Hadees in Urdu Jannt Me Aik Bazar
Jannt Ka Bazar:
"Jannt Me Aik Bazar hoga jannti har jummy ko wahan jaein gy phir baad-e-saba chaly gi jis sy un ky chahry aur kapry khak aalod ho jein gy lekin is sy un ka husan aur khobsurti dobala ho jaye gi is haal mein jab wo apni bewiyon ky paas wapis lotein gy to inki bewiyan un sy kahien gi ALLAH ki kasam hamary baad tum aur ziyada haseen aur khobsurat ho gaye ho woh jawab deingy ALLAH ki kasam tum bhi hamary baad aur ziyada haseen ho gai ho...!!!"
Annas Bin Malik bayan karty hian keh:
"Ahl-e-jannat aik dosry sy kahien gy chalo bazar-e-jannt ki taraf chalty hain phir woh kastori ky aik pahad ki taraf jaien gy wahan sy palat kar jab woh apni bewiyon ky paas pohanchien gy to un sy kahein gy tum sy aisi khusbo aa rahi ha jo us sy pahly kabhi nahi thi to woh jawab deingy tum sy bhi aisi khushbo aa rahi ha jo yahan sy nikalty howy nahi thi...!!!"
Hadees in Urdu Jannt Me Aik Bazar
Reviewed by Tayyab Naveed
on
08:32:00
Rating:
No comments: