Hadees and Qurani Aayat about Janat in Urdu Pictures

Islamic-urdu-ahadees-ahal-e-jannat-ki-bewiyan-in-urdu-image-by-poetrysync1.blog

Ehal-ey-jannat ki Biwiyaan:
Or Rasul Allah S-A-A-W ney jenti oorton key husan-o-jamaal kaa tazkiraa kerty huey frmayaa: "Har jannti koo doo mooti aankhon waali hurein batoor-ey-bewiyaan atta ki jaean gii her bewi kapron key sttar jory zaib taan kiey howey hogi uski pindli key andaar ka guda uskey kaproon or ghost key wary is terha saaf nazer aaa rha hoga jiss terha saaf shafaaf sheshy key gilaas mein sharaab nazer aa rahi hoti hy...!!!"






Islamic-urdu-ahadees-hamesha-rahny-wali-jannatein-in-urdu-tarjma-image-by-poetrysync1.blog

Hamesha Rahny Wali Jannatein:
"Woh log ho iman laaye aur aamal-e-saliha kiye unka ajar kabhi zaya nahi karty unky liye hamesha rahny wali janntein hain jin ky neechy nahrein bah rahi hain woh sony ky kangan pahny howey barik resham aur atlas-o-deeba ky kapro sy aarasta masnadon par takye lagaye howey bethy hongein kitna acha ha unka badla aur kiya hi achi unhon ny jaga paai hai...!!!"






Islamic-urdu-ahadees-jannat-ky-libas-ka-bayan-in-urdu-by-poetrysync1.blog

Jannat key Libas ka Byan:
Rasool ALLAH S-A-A-W ney fermaya: "Jo shakhas janat mein daakhil ho gayaa wo hmesha khush haal zindgi mein hogaa kbhi mohtaj nahii hoga na uska libaas bosseeda hooga or na uski jaawani dhaly gi...!!!"






Islamic-urdu-ahadees-jannt-ki-afzal-tareen-naimat-in-urdu-image-by-poetrysync1.blog

Janant ki Affzal Tareen Naimat:
Jab Jannti Jannat mein dakhil ho chukein gy to ALLAH unhain (mukhatib kar ky) farmein gy: "Mazeed kisi chiez ki zaroorat ho to batao." To Jannti jawab dein gy: "Kiya tuny surkhro nahi kar diya kiya tuny hamein jahanum sy nijat dy kr jannt ata nahi kar di (ab bhala kis cheiz ki zaroorat baqi rah gai ha) phir parda uthy ga aur jannati ALLAH Taala tabaruk ko apny saamny dekhein gy aur us sy ziyada mahboob koi aur naimat un ky nazdeek nahi hogi...!!!"
Us par Aap s.a.w ny quran ki yeh aayat tilawat farmai: "Jin logon ny bhalai ki raah ikhtiyar ki unky liye acha badla ha aur mazeed baraan bhi...!!!"






Islamic-urdu-qurani-aayat-jannat-ky-waris-in-Urdu-Tarjma-by-poetrysync1.blog

Jannat ky Waris:
"Unky liye hameshgi ki jannat ha jinka apny bando sy KHUDA-e-Rahman ny dar parda waada kar rakha ha aur yeh wada yaqeena pora ho kar rahy ga woh koi nashaista aur behoda baat unky kano mein nahi parry gi jo kuch sunein gy woh salamti hi ki sada hogi aur subha sham tarha tarha ky khany un keliye muhayya kiye jaein gy yeh ha woh jannat jiska waris ham apny har us bandy ko banaein gy jis ny taqwa ki raah ikhtiar ki hogi...!!!"






Quranic-Ayat-jannti-log-mazy-me-mashgool-honge-urdu-image-by-poetrysync1.blog

Jannti Log Mazy Me Mashgool Honge:
ALLAH Tala ne Farmaya: "Aaj jannti log mazy karny mein mashgool hain us din jannti aur unki bewiyan ghany saayon mein hongein masnado par takye lagaye howey, har kism ki lazeez cheizen khany peeny ko unky liye wahan mojod hongi...!!!"




Hadees and Qurani Aayat about Janat in Urdu Pictures Reviewed by Tayyab Naveed on 07:27:00 Rating: 5

No comments:

All Rights Reserved by romantic urdu quotes|Love poems © 2014 - 2015
Powered By Blogger, Share by Star Tuan

Biểu mẫu liên hệ

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.