Kamal-e-Zabt Me Main Khud Ko Aazmaon Gi

Kamal-e-Zabt Me Main Khud Ko Aazmaon Gi
Sad Judai Ghazal Shayari Kamal-e-zabt me main khud ko aazmaon gi By Poetrysync

Kamal-e-zabt me, main khud ko aazmaon gi
Main apnay hathon say us ki dulhan sajaon gi,

Sapurd kar ke usay chandni ke hathon me
Main apnay ghar ke andheron ko lot aaon gi,

Mery badan ke karb ko woh bhi samajh na paye ga
Main dil me ro'on gi, aankhon main muskuraon gi,

Woh kiya gaya RAFAQAT ke saray rang gaye
Main kis say rooth sakon gi, kisay manaon gi?

Gulabon ke sath hi bicha diya tha apna wajood
Woh so ke uthay to khawabon ki rakh uthaon gi,

Jawaz doondh raha tha woh nai Mohabbat ka
Woh keh raha tha ke main us ko bhol jaon gi,

Ab us ka funn to hua kisi or say mansoob
Main kis ki nazm akelay main gungunaon gi...!!!


Kamal-e-Zabt Me Main Khud Ko Aazmaon Gi Reviewed by Tayyab Naveed on 21:00:00 Rating: 5

No comments:

All Rights Reserved by romantic urdu quotes|Love poems © 2014 - 2015
Powered By Blogger, Share by Star Tuan

Biểu mẫu liên hệ

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.