Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah
Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah,
Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah,
Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jagaon Ga
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,
Mere Hee Dil Ka Makeen Nikla Woh Shakhs “Wasi”
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah...!!!
Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah
Reviewed by Tayyab Naveed
on
01:36:00
Rating:
No comments: