Urdu Ghazals Collection Vol-2

There are a large urdu and hindi poems/ghazals collection with cute and beautiful images about love and life.


Teri Wafa, Wafa Hai Kiya
Meri Muhabbat Kuch Bhi Nahi?

Tera Dard, Dard Huaa
Kiya Mera Zakham Kuch Bhi Nahi?

Tumhari Baat Pathar Pe Lakeer
Kiya Meri Elteja Kuch Bhi Nahi?

Tujh Me Aana Samandar Jaisi
Kiya Mera Maan Kuch Bhi Nahi?

Tera Gham, Gham Hoaa
Kiya Mere Aansu Kuch Bhi Nahi?

Tera Wajood Sab Kuch Hai
Aur Kiya Meri Hasti Kuch Bhi Nahi...???





Zinda Tha To Kisi Ne Na Pocha Haalat-E-Jigar
Abb Mar Gaye Hain To Mitti Me Dabanay Aagaye,

Chor Ke Dunya Ko Madhosh Huaye Thy Hum
Woh Na Janay Kya Soch Kar Humko Jaganay Aagaye,

Na Janay Kis Se Pocha Hai Wafa Na Pata Mera
Meri Qabar Pe Bhi Humko Jaganay Aagaye,

Hum To Andhere Me Sonay Ke Aadi They
Or Woh Bewafaa Meri Qabar Par Diye Jalanay Aagaye

Zinda Tha To Ek Nazar Na Dekha Piyar Se
Mar Gaye Hain To Ab Qabar Pe Aansu Bahany Aa Gaye...!!!




Yehi Wafa Ka Silaah Ha To Koi Baat Nahi
Yeh Dard Tum Ne Diya Ha To Koi Baat Nahi,

Yehi Bohot Ha K Tum Dekhte Ho Sahil Se
Safeena Doob Raha Ha To Koi Baat Nahi,

Rakha Tha Aashiyana-E-Dil Ma Choopa K Tumko
Woh Ghar Tumne Chor Diya Ha To Koi Baat Nahi,

Tum Hi Ne Aayena-E-Dil Mera Banaya Tha
Tum Hi Ne Tor Diya Ha To Koi Baat Nahi,

Kise Majaal Kahe Koi Mujh Ko Deewana
Agar Yeh Tumne Kaha Ha To Koi Baat Nahi...!!!




Mera Sochna Teri Zaat Tak
Meri Guftagu Teri Baat Tak,

Na Tum Milo Jo Kabi Mujhey
Mera Dhondna Tujhay Paar Tak,

Maine Apna Sab Kuch Ganwa diya
Teri Nafraton Se Payar Tak,

Kbi Fursaten Jo Milen To Aa
Meri Zindagi K Hisaar Tak,

Maine Jana K Main Kuch Nahi
Teray Pehlay Say Teray Baad Tak...!!!




Barish-E-Sang-e-Malamat me Mharaboor Rahey
Harf aaye naa tujh par tujh sy Door Rahey,

Aatish-E-Qalb Bhujaney say kahan Bhujtey Hain
Dil Me Khawabeeda agar Yaad kay Sharor Rahey,

Natawaan Jism-O-Jaan, Dunyaa say woh Takkar Layna
Hum Issi Baat Pay had Darjaa Maghroor Rahey,

Dard Barh Jaye to khud Aap Marham Hotaa Hai
Suna jo Humny to Phir hum Bhi Zakham Choor Rahey,

Hansaty Rahtey hain Sar-E-Bazm, hay Aadat Apni
Hum to Woh Hain kay Dukh Uthaa kay Bhi Masroor Rahey,

Barh Gayi Had say Sharafat To Kuchlay Jao Gay
Yaad har Pal Tumhain Dunya Ka Yeh Dastoor Rahey,

Ghazal Me Haal jo Hum Apna Bayaan Kar Baithey
Es Dil Kay Hathon Bohat Majboor Rahey...!!!


Urdu Ghazals Collection Vol-2 Reviewed by Tayyab Naveed on 03:00:00 Rating: 5

No comments:

All Rights Reserved by romantic urdu quotes|Love poems © 2014 - 2015
Powered By Blogger, Share by Star Tuan

Biểu mẫu liên hệ

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.