Kuch Umer Ki Pehli Manzil Thi Kuch Raste They Anjaan Bohat
Kuch umer ki pehli Manzil thi
Kuch Raste they Anjaan bohat,
Kuch hum bhi pagal Pagal they
Kuch woh bhi they naadan bohat,
Kuch us ne bhi na Samjhaya
Yeh Piyar nahi Aasan bohat,
Aakhir hum ne bhi Khail liya
Jis khail mein they Nuqsaan bohat,
Jab Bikher gaye tab yeh jana
Aatay hain yahan Toofan bohat,
Ab koi nahi jo Apna ho
Milne ko to hain Insaan bohat,
Ay kaash wo Wapis aa jaye
Yeh Dil hai ab Sunsaan bohat,
Kuch Umer Ki Pehli Manzil Thi Kuch Raste They Anjaan Bohat
Reviewed by Tayyab Naveed
on
02:18:00
Rating:
No comments: