Yeh Konsa Woh Rishta Hai Jiska Na Taar Koi Baaki
Yeh konsa vo rishta hai, jiska na taar koi baaki
Girta hai jab jab mera aansu ban ke raat bhar,
Sochti hu subah ab rahega na mere jeevan me vo pyar
Raat bhar kal gujaari maine sang tere aansuon ke jo,
Na ismaran tera mujme, na yaadein hai ab teri
Phir kyu zikar tera rula deta mujhe har baar,
Daaman me apne cheetein ,khush rahkar sahe hai maine
Phir kyu teri kadwi baton se dil dukhta har baar,
Jo chaha tujhko vo de diya tujhe maine
Nafrat se khudse dur tujhe kiya hai maine,
Na zikar koi baaki mera rahe tujhme
Gujre un lamhon ki na vo dastaan ho tujhme,
Na tadhpe tu us pashchaatap ki agni me
Na roye teri aankiya us meera ki bhakti me,
Main teri nafrat ko bhi apne seene se laga lungi
Sar aankhon pe tere labzo ko bhi apna bana lungi,
Main ye jaanu dil tera ab bhi rota hai
Tera har ek pal aaj bhi kyu mujhme basta hai,
Mere maathe ka sindur tu sada bankar rahega
Mere dhruv ka vo chamkta tara tu hi hoga,
Dukhaya hai dil tera, ye jarurat thi teri
Us kanha ke jeevan me na kismat thi meri,
Pyar jo tera bin chahat maine paaya
Tere dhruv ne firse mujhe jeena hai sikhaaya,
Khushiyan ab teri paa li hai tune
Is jahaan me muskaan ne akhiri ab farz bhi nibhaaya..
Yeh Konsa Woh Rishta Hai Jiska Na Taar Koi Baaki
Reviewed by Tayyab Naveed
on
00:50:00
Rating:
No comments: